Sva Sukh Vasna…

PAmHO. had come for manan at nearby park at around 11 am. Meditated till 1:30 pm..

* Sva sukh vasna ki purti karne ke prayas ki wajah se hi Bhakti ki Kriyaein karne ke baad bhi woh Aaswadan nahi prapt ho raha jo hona chahiye.
—Deh ko sukh pahunchane ke jitne bhi prayas hai- gross, subtle, sabhi ko band karna hoga.
Yeh deh jad hai isko kuch prapt nahi hota, kuch mehsus nahi hota, sirf mann ka vikar thodi der ke liye shant hota hai aur usi ko mene anand ki sangya de di hai.
Mein picture mein bhi nahi aata. Mein chinmaya hoon, Para shakti hoon aur sansar apara shakti hai, jad hai toh apara se para ko kuch nahi mill sakta. Kyunki mein apne ko iss deh se abhinn manta hoon toh isi brahm mein jee raha hoon ki prapt ho raha hai, anand anubhuti ho rahi hai jab ki sab kalpanik hai.

Manjariyan svayam ke deh ke comfort ke bare mein sochti bhi nahi hain, sirf Radharani ke comfort ke bare mein hi sochti hain aur mein Deh ke comfort ke anusar hi Bhajan ko karne ka prayas karta hoon toh manjari bhava mein siddhi kyun milegi.
24 hours deh ko sukh pahunchane ka prayas rehta hai toh Radharani, SRI GURU Ke Sukh ke bare mein kyun sochunga?

* main aatma:
—1/10,000th part of tip of hair hoon,
—bahut chota sa kan hoon,
—seva ka Kan hoon.
—Iss sharir, indriyon se bilkul alag hoon.
—Mann, buddhi se bilkul alag hoon.

Bhojan mere andar nahi jata, woh sharir ke andar jata hai.
Bhojan karte samay jo bhi feelings aati hai woh mujhe nahi aati woh sirf chemical reactions ho rahe hote hain jadiye jeebh par jisko mene taste ki sangya de rakhi hai aur manta hoon ki mujhe feel hota hai.
Mene aaj tak kuch nahi paya hai aur na hi kuch pane ki Iccha hai kyunki mein hungerless hoon. Mujhe kabhi bhook, pyaas nahi lagti, yeh sab toh sharir ke signals hote hain.
Mein sirf Adhyatmik jagat mein jake hi paa sakta hoon.
Jitni bhi cravings hoti hai kisi bhi cheez ko pane ki… woh sirf mann ke vikar hote hain aur inki purti karne ka prayas keval meri murkhta ka prateek hai.
—Bhojan ko leke kabhi bhi harsh ya shok nahi mehsus karna hai… kyunki mujhe sparsh hi nahi karta bhojan.
—Kisi bhi prakar ke bhojan ko pane ki chah nahi honi chahiye, Jo aa jaye kripa samajhke sharir ko dena hai, Barambar yaad dilate hue dena hai ki mujhe nahi mill raha, Naam lete hue dena hai.
—Kabhi nahi Bolna kisi ko bhi, kuch bhi banane ke liye,
—bazaar se svayam ke liye kuch nahi leke aana.
—Acche se samajhna hai ki kisi bhi prakar ke bhojan mein sukh nahi hai.
—Bhojan sirf petrol hai… sharir ke liye.
—Bhojan ki matra bahut kar karni hai, 90% se upar toh kabhi bhi nahi hona chahiye.
—No snacks, no desserts after dinner, no munching.

Bhojan se asakti bahut bada disease hai, iske rehte hue sansar se jo sambandh mana hua hai… woh brahm kabhi bhi dur nahi ho sakta.

* mein aatma hoon::
—spiritual,
—meri ko sansari family nahi ho sakti.
—Meri koi wife, kids, parents, brother, sister nahi ho sakte.
—Aatma kabhi bhi reproduce nahi karti. Yeh sabhi sharir se sambandhit hain aur samay aane par sab khatam ho jayenge. Sabhi yatri hain, kuch samay ke liye ikkathe hue hain Prarabdhon ke anusar aur phir wapis alag ho jayenge.
Sansar mein kisi bhi vyakti, vastu se sambandh manna agayanta hai, sirf deh avesh aur increase karta hai aur mujhe apne vastavik svarupe se aur door kar deta hai.
Kitni badi murkhta hai ki ek toh sambandh Maan raha hoon aur upar se yeh bhi Maan raha hoon ki Inn sambandhon mein anand hai aur isse bhi badi murkhta yeh hai ki yeh janne ke baad bhi ki yeh Sach nahi hai tab bhi Inn kalpanik sambandhon mein hi Lipt rehne ki chah rakhi hui hai aur inse bahar nikalne ka prayas bhi nahi hai aur avval darje ki murkhta yeh hai ki mujhe lagta hai ki mein bhakti ke marg par aage badh raha hoon. Ahankar hi badh raha hai aur kuch nahi.

—Kisi Ko kuch bhi ho, bilkul bhi affect nahi hona,
—kisi ki feelings ki koi parvah nahi karni.
—Kisi ko bhi Prasann karne ki koi cheshta nahi karni.
—Prabhutva nahi jamana,
—kisi ko nahi dantna,
—kahin ghumane nahi leke jana,
—studies ko leke bilkul nahi interfere karna.
—Accha pita, pati, putra banne ka zara sa bhi prayas nahi karna.
—Nurse ki tarah rehna hai, tenant ki tarah rehna hai.
—Chahe koi bura mane ya Accha.. koi farak nahi padna chahiye.
—Sabhi sansari vyaktiyon, vastuon par nirbharta khatam karni hai.
“SRI GURU Is my only life, family is not even a part of my life.” Isi ke anusar jivan vyatit karna hai.

Kindly check and guide Mji.
PAmHO nauker