Sparsh Sukh

Mji PAmHO had come for manan at nearby park at around 11 am. Meditated till 1 pm..

* Iss sansar ka koi bhi vykati, koi bhi vastu, koi bhi paristhithi mujhe sparsh nahi kar sakti, Aaj tak nahi kiya. Aur jab sparsh hi nahi hai toh sparsh sukh/dukh kahan se hoga. Jo bhi sukh/dukh mehsus hota hai woh sab illusion hai, sirf mind mein hai. Keval mann ke vikar hain.
Chahe stri ho, chahe koi galat bole, chahe koi baat na sune, arguments karen, shout kare, kuch bhi mujhe sparsh nahi karta, keval sharir tak simit rehta hai aur mein iss jadiye sharir se, iss jadiye mann se koso dur hoon. False ego ki wajah se lagta hai ki mujhe sparsh kar raha hai jabki mein picture mein hi nahi aata.

Bilkul bhi react nahi karna kisi bhi situation mein, kisi bhi vyakti ko leke chahe jaisa bhi acaran ho kisi ka, kisi stri ko leke. Bilkul bhi kisi vikar mein nahi phasna kyunki sabhi vikar mann mein aate hain, sabhi jadiye hain aur mein purn Rupe se chinmaya. Meri khuraak chinmaya hai. Jitni bari bhi react kar raha hoon, jitni bari bhi vikaron mein phas raha hoon utna hi bhayanak Hells ke aur kareeb ja raha hoon, utne karm aur badha raha hoon aur karm hi badhte rahe toh Bhakti kab shuru hogi.

Sansar se bhog buddhi ko bilkul khatam karna hai kyunki mein bhoga kar nahi sakta aur na hi karna chahta hoon. Mein, aatma, sirf anand chahta hoon, keval seva chahta hoon kyunki seva ka Kan hoon aur Anand keval Radha Krsna hain. Iss sansar ki koi bhi kriya mujhe anand nahi de sakti. Barambar yaad dilana hai yeh baat, barambar bolna hai svayam ko ki sab garbage hai, sare vicar garbage hain kyunki sab jadta se sambandhit hain, kisi mein sparsh sukh nahi hai. Vikaron ko Sehen karna hai aur Kripa ki bheek mangni hai tabhi mein vikaron mein nahi phasunga. Kisi bhi stri ki taraf bhog ki drishti se nahi dekhna, yeh ache se samajhna hai ki jab stri ka sang hota hai tab bhi mein sang nahi kar raha hota balki mein sirf jadendriyon ki seva kar raha hota hoon, sparsh toh keval indriyon ka, sharir ka ho raha hota hai. Mein toh andar hota hoon.
kabhi nahi chahna ki paristhithi mere anusar badle, kabhi nahi chahna ki koi vykati mere anusar chale kyunki yeh sab ho bhi jayega tab bhi mujhe Anand nahi milne wala balki voidness, frustrations hi badhengi. Life hellish hi hoti jayegi.

* bhojan ki koi bhi vastu mujhe sparsh nahi karti hai. Bhojan kaisa bhi ho mujhe koi taste nahi deta hai. Bhojan karte hue koi feeling nahi aati hai, jo bhi so called feeling hoti hai woh sirf chemical reaction hota hai jo tongue par ghatit ho raha hota hai aur mein use taste ki sangya de deta hoon. Kitni badi murkhta hai. Mein aatma, 1/10,000th part of tip of hair mein chahkar bhi kuch kha nahi sakta toh taste kahan se aayega.
Sara bhojan sirf sharir ko mill raha hota hai. Mein sirf drishta ki tarah dekh raha hota hoon bhojan ki andar jate hue.

Yeh jante hue bhi bhojan ko leke vikar aate hain aur mein usme phasta hoon, Bhojan ko leke chah rehti hai, abhi bhi lagta hai ki sweets, ice creams, cold drinks, junk food, mouth fresheners, etc mein Anand milta hai. Abhi bhi lagta hai ki mein hi kha raha hoon. Kitni kharab sthithi hai. Manan bahut weak hai, manan ki frequency bahut kam hai.
Regular, intense, lambe samay tak manan karunga aur Kripa ki bheek mangunga jab jake yeh gyaan vigyan mein badlega. Har bite par yaad dilana hi dilana hai ki mein nahi kha raha ya nirantar Naam lete hue Grehen karna hai bhojan ya Pravacan sunte hue. Keval Prasada ke alava aur kuch sparsh nahi karna chahiye tongue pe including water. Koi Maang nahi karni kisi bhi prakar ke bhojan ki, jo aa jaye kripa samajh ke Grehen karna hai kyunki quantity and quality of food is already decided. Bahar se kuch nahi leke aana, hot – cold kisi ki bhi koi chah nahi rakhni. Simple bhojan hi sharir ko dene ki chah rakhni hai. Bheeter se samajhna hoga ki yeh nahit bada disease hai aur jaldi se jaldi isse nijaad pana hai tabhi sahi Rupe se seva kar paunga.

Kindly check and guide Mji.
PAmHO nauker das