Manan on i am complete

* mein aatma hoon, iss sharir se alag, iss mann se alag, mein complete hoon, fully complete, purn rupe se complete, sehej sukhi. Hamesha sukhi rehta hoon. Kisi vyakti, vastu ki aavshyakta nahi khush hone ke liye kyunki mein already khush hoon. Mujhe koi vyakti, koi vastu purn nahi kar sakti. Mere mein koi deficit nahi hai, mere mein koi apurnta nahi hai, mere mein koi khalipan nahi hai. Mujhe kisi ki chah nahi hai.
Mein kuch chahta bhi nahi aur mujhe kuch mill bhi nahi sakta kyunki sab kuch sharir ko sparsh karta hai aur iske vikar mann mein utpann hote hain par mein mann, sharir se alag hoon. Mujhe kuch sparsh nahi karta, kar hi nahi sakta.
Mujhe na kisi vyakti ka abhava hai na kisi vastu ka. Mujhe kisi emotional support ki zaroorat nahi. Mein kisi par dependent nahi kisi bhi cheez ke liye. Mein Bhagwan ka Putra hoon mujhe kuch nahi chahiye. Mein full hoon, upar tak bhara hua hoon aur hamesha rahunga.

Mujhe koi stri nahi chahiye, koi bhojan nahi chahiye, koi kapde nahi chahiye, koi tv, car, paise nahi chahiye, koi parivar nahi chahiye, koi maan-samman nahi chahiye, kisi bhi prakar ka sparsh sukh nahi chahiye. Mujhe kabhi pyaas nahi lagti. Mein sirf Anand chahta hoon aur woh Keval Bhagwan hain. Mein sirf Bhagwan chahta hoon har shan.
Mujhe kahin ghumne jane ki zaroorat nahi khush hone ke liye, mein svabhavik khush hoon. Kuch karke ya pake sukhi nahi hone wala kyunki already sukhi hoon bina kuch kare. Already given hai. Kripa hai.

Pratikul paristithiyon mein bhi mein sukhi hi rehta hoon, jab gussa aata hai ya kaam ke vikar utpann hote hain tab bhi mein shaant hi hota hoon, yeh sare vikar mann mein utpann hote hain mere mein nahi. Mein totally unaffected rehta hoon.
Barambar continuosly without break everywhere in every situation in front of everyone yaad dilate rehna hoga svayam ko ki mein purn hoon, sehej sukhi hoon, Mujhe kuch nahi chahiye, Mera kisi se koi sambandh nahi hai, mujhe kuch karne ki zaroorat nahi hai khush hone ke liye. Balki khush hone ki koshish karne ki wajah se hi nahi realise kar raha ki mein already khush hoon. Apne andar apurnta manne ki wajah se hi bhajan suffer kar raha hai, mechanical ho raha hai, utkantha ki kami hai, teevrta ki kami hai.

* Mein kisi ka father nahi, kisi ka husband nahi, kisi ka son nahi, koi businessman nahi, male nahi. Mera koi ling nahi hai, yeh male ka sharir sirf vastra hain jo kuch samay mein utar jayega. Mein Indian nahi, hindu nahi, baniya nahi. Mein sirf Kan hoon, chota sa kan par hoon complete aur svabhavik rupe se sukhi.

Meri koi duty nahi kisi ke prati. Subah se raat tak sirf kalpanik duniya mein ji raha hoon. Accha pati, Putra, pita, businessman banne ka hi prayas kar raha hoon jabki mein inme se kuch bhi nahi hoon aur bann bhi nahi sakta aur bann bhi gaya toh bhi mujhe, aatma ko, kuch nahi milne wala aur mein chahta bhi nahi hoon banna. Sari chah mann mein hai aur mein apne ko mann Manta hoon aur Manta hoon ki yeh sab meri chah hai.

Mann ki icchayein purti karne ka prayas band karna hai aur jisse sahi sanskar gehre ho wohi karyon mein lipt hona hai. SRI GURU, Sri Vaisnavo se bheekh mangni hai ki yeh baat samajh aa jaye. Tabhi bhajan mein mann lagega

Kindly check and guide