Discussion on Sva-sukha vasana…

on Sva Sukh Vasna Lecture..

First we recapped our previous churning on 11th..

* yeh janne ke baad bhi ki Sva sukh vasna ke chalte sabhi bhajan kriyaein nishphal ho rahi hain… tab bhi teevrta nahi aayi prayas mein, na barambar kirtan kiya iss baat ka aur na hi teevrta se Manan kiya.
Na meri priorities change hui aur na hi din charya.
Iska ek hi karan hai ki mein bahut halke mein le raha hoon iss baat ko, sva sukh vasna ki purti karne ka prayas Kitna khatarnaak hai iski gambhirta ko nahi samjha hoon.
Khan-paan, sona sab sucaru rupe se chal raha hai. Pata chalta hai ki deh ko sukh pahunchane mein puri tarah se Lipt hoon aur isko chodna hi nahi chahta.

* SRI GURUDEVA Ke Darshan honge toh mein bahut khush hoon par kya SRI GURUDEVA Khush honge mujhe dekhke?
UNKI VANI Ko toh mein follow kar nahi raha. Aur jab tak VANI Ko follow nahi karunga tab tak Kripa hi prapt nahi hogi, jisse sva sukh vasna ke chungal se rahit ho sakoon. Yeh silsila aise hi chalta rahega. Abhi sirf repairment hi chal rahi hai aur kahin na kahin yehi karke santusht ho raha hoon. Vastav mein sansar bhi chahta hoon aur chahta hoon Radha rani bhi mill jayein toh yeh toh asambhav hai.

* churning karke immediately mein sansari karyon mein lag jata hoon toh jo thodi bahut dhool Hati thi woh phir lag jati hai.
Churning karne ke baad mujhe churning par manan karna chahiye immediately, tabhi pata chalega ki vastav mein mujhe kya karna hai aur resolve bhi aayega… practically apply karne ka.

* food and sex, sari sva sukh vasna isi ke around chal rahi hai.
Bahut zaroori hai ki jo bare minimum hai jaise
—subah jaldi uthna,
—manan par jana (twice a week), —keval Prasada paana,
—addhyan,
—roz kirtan karna,
—niyamo mein sakht hona
yeh bahut zaroori hai karna aur immediate karna hai.
Jivan mein vairagya aana bahut zaroori hai. Tabhi Kripa prapt hogi.
—Sansari logon ki baat ko, unki feelings ko mehetva dena band karna hoga. Unhi ko khush karne mein lage rahenge toh Radha rani ko khush karne ka prayas kyun karenge aur agar Yeh prayas hi nahi hai toh phir how will i go to Golok and why will i go to Golok.

* Prarabdh Gyaan par pragaad shraddha Lani bahut zaroori hai… tabhi business, parivar se nikalne ka prayas bhi karunga. Warna karta bhava hi badhta rahega. Yeh bhi ekant mein nirantar manan karne se hi hoga.
Kindly check and guide Mji.
PAmHO nauker