Discussion on Seva & Sadhu Sang…

Mji PAmHO yesterday had a discussion with Z around 40 minutes on Rasaswadan of Manjaris Lecture..

* Seva ka intent nahi hoga toh Bhajan mein focus nahi hoga aur sab ritual ki tarah hi chalta rahega. Jitna bhi discussion kar loon, Japa kar loon par ritual hi hoga sab. Intent is very important. Sirf ek hi goal hona chahiye – sahi sthan par seva mein absorbtion.

* mera Svarupa hai nitye Krsna das toh seva toh har shan kar raha hoon par sahi jagah par seva nahi kar raha. Sharir ki indriyon, jad indriyon ki hi seva karne mein laga hua hoon aur lagta hai ki bhog kar raha hoon. Samajhna hai ki mein yeh sharir nahi hoon. Mein indriyan nahi hoon. Mein bhog nahi seva hi kar raha hoon. GURU Vani se har galat vicar ko katna hoga tabhi Sahi jagah par seva nirantar hogi. Agar aisa nahi karunga tog galat sanskar aur gehre hote jayenge. Samajhna hoga ki seva ras Aaswadan tabhi milega jab 24 hours seva karunga sahi jagah par.

* Agar Sadhu sang nahi kar raha toh sirf formality mein hi bol raha hoon ki Seva mein absorbed hona hai kyunki Seva Sang mein hi hoti hai aur agar Sadhu sang hi nahi Kar raha toh seva kahan se hogi. Waise bhi Seva ki aag jinme hain Unka sang karne se hi mere andar bhi Seva ki aag jalegi. Kartik mein SRI GURUDEVA Ne Bataya ki Goal kya hai- Seva ras Aaswadan aur AWIRBHAVA DIWAS Lecture mein process Bataya ki yeh Goal achieve kaise hoga – Sadhu Sang se.

* Sadhu sang tabhi hoga jab khud ko murkhanand saraswati manunga aur Samne wale ko atleast trehan. Agar faults dekhunga toh Hriday se respect hi nahi hogi aur respect hi nahi hai toh Bhakt ka Sang kar hi nahi paunga. Sirf smile dena respect nahi hai. Unki baaton ko respect dena yeh hai vastav mein respect dena khaskar jo equals hai ya thode se naye hain Unki baaton ko respect dena. SRI GURUDEVA APNE ACARAN Se sikha rahe hain Sabhi ko Respect dena.
Mujhe apne andar hi faults dekhne hain. Samne wale ko Saviour ke Rupe mein dekhna hai. Warna Aparadh hi ho rahe hain.

We also discussed the importance of regularly updating and reading Gratitude dairy.

Kindly check and guide Mji.
PAmHO nauker