Discussion on Satyata se bhakti

Bhajan mein satyata nahi hai. Kapat ta hai. Muh se bol raha hoon ki Radha Krsna ki Seva chahiye par sharir ke mann, indriyon ki hi seva karne mein laga hua hoon. Chetan aatma jad sharir, jad sansar ki seva mein laga hua hai. Sansar ka mehetva banake rakha hua hai kyunki lagta hai ki bhog kar raha hoon jabki shraddha nahi ki mein seva ka Kan hoon, har samay seva hi kar raha hoon. I have been especially blessed so responsibility is also greater upon me.

* gayatri mein Sanatan kaal ke liye seva maang raha hoon, Gosvami Gan se pray kar raha hoon par bhheter se chah nahi hai ki 24×7 seva karoon. Parivar se, business se, sharir se attachments banake rakhi hui hain.
Jivan mein detachment and nishkamta chahiye.
Jab tak sansar ke prati, sansariyon ke prati sensitive rahunga tab tak Bhajan ke prati, SRI GURUDEVA Ke Prati sensitive nahi ho paunga. Mehetva nahi aa payega instructions mein.

* pura lifestyle change karna hoga. Isme sabse pehle Roz Sadhu sang ka sankalp lena hoga kyunki sari cheezein isi se hi hogi. Jab roz Sadhu sang ka prayas karunga toh apne aap office, ghar mein adjustment karunga kyunki time toh wohi hai.
Phir subah uthke Japa karna hi karna hai. Iske liye time pe sona hi hoga aur agar time se sona hai toh bhojan par control karna hi hoga warna early sleep nahi ho sakti.
Then office mein gaps dene honge aur jab gaps denge toh apne aap i will change the system at office in such a way ki meri physical presence ki requirement Kam hoti jaye. Tabhi gaps de paunga. Yeh zaroori bhi hai kyunki tabhi jab mandir hoga uske liye free mind se nikal paunga.
Moreover, holiday par ghar nahi bethna. Yeh karunga toh phir jo kaam holiday par karta hoon woh office time mein karunga. Isse apne aap life mein changes aayenge.
We discussed ki inhi Chaar practical points par ek dusre se regularly baat karenge so that we keep encouraging each other on these.

* We also discussed asht vakra Gita shlok related to dhan asakti.