Discussion on Prarabdha

Discussion with A and B on Prarabdhas for around an hour.

* Bahye vyavaharon ko acheshta purvak nirvah karoon. Sab kuch already decided hai toh mere karne se kuch change nahi hone wala toh prayas karne se kya fayda.
Yeh janne ke baad bhi cheshta jari hai. Business ko increase karne ka prayas, loss ko leke chinta karna, kids ke school admissions ko leke. Sab kuch already decided hai toh jo bhi prayas hai woh murkhta ka hi prateek hai.
Har shan apne according karna chahte hain, har shan Har kisi ko apne according chalana chahte hain.

* Sadhna Sthool aur suksham dono hoti hai. Jab tak yeh Prarabdh Jnana par Pragaad Nishtha nahi hogi tab tak prayas jari rahega aur Bhajan mein Hriday nahi lagega, har shan lagna toh Bahut dur ki baat hai.
Yeh Base hai aur iske bina Bhajan sahi Rupe se nahi ho sakta. Ek bari yeh samajh aa jayega toh koi chah nahi hogi kisi ke bare mein.

* Iss Gyaan par Nishtha na hone ki wajah se Lording over rehti hai Bhakton ke beech mein bhi jiski wajah se Bhakti ki bahut Hani hoti hai. Har kisi ko control karne ki chah hai. Jabki mera mann mere control mein nahi aur mein dusre ke mann ko control karna chahta hoon.

* Hum continously good and bad qualities dekhne mein lage rehte hain jabki na toh koi Accha hai na bura. Sab it is hai. Sabhi badhye hain uss prakar se behave karne ke liye. Kisi ko dosh nahi dena aur agar de raha hoon toh apne hi karm aur bana raha hoon. Sab kathputli hain. Jaise mein drishta hoon waise samne wala bhi drishta hain.

* Agar iss Gyaan ko samajh raha hoon toh sabse pehle react karna band karunga chahe kuch bhi ho. Abhi har baat par react kar deta hoon kyunki shraddha bahut weak hai iss gyaan par. Daily basis par iss gyaan ko neglect kar raha hoon. Samajhna hoga ki karm bahut jatil hain. judaav aur algav ka yog hota hai aur woh hoke rehta hain toh mere react karne se kuch hoga nahi. Bas khaya piya kuch nahi glass toda barah aana hoga.

* Sabse pehle yehi bolna hai ki mein prayas nahi karunga kisi ko apne hisaab se chalane ke liye, nahi prayas karunga koi bhi paristhithi ko change karne ke liye, bilkul react nahi karunga kisi bhi baat par, sirf apne svarupe se sambandhit karye hi karne ki chah rakhunga. Barambar gehen manan karna hoga iss baat par. Koi cross comparisons nahi karna. Accept karna hai ki mein abla hoon. Chah nahi rakhni.

We then seeked each other’s Blessings to apply this knowledge.
Kindly check and guide Mji.
PAmHO nauker X das