Discussion on Kripa Sandarbh
Mji PAmHO had a discussion with X Mji for around 40 minutes on Kripa Sandarbh Lecture..
* Jis matra mein SRI GURU, Sri Vaisnavon ki Manomayi Seva karunga usi matra mein Kripa prapt hogi. Par seva karte hue karta bhava aa jata hai ki mene ki seva. Karta bhava aane se expectations aa jati hain ki recognition ho seva ki, jabki seva karne ki shakti bhi Kripa se aati hai.
Har seva karte samay Gratitude hona chahiye ki mujh adham par itni kripa ho gayi.
Aur agar aisa nahi hai toh phir false ego ki hi seva kar raha hoon. Karta bhava hoga toh phir gun point par Kripa mangne ka bhi prayas hoga. Phir Nishkamta bhi chali gayi.
* Jab tak atishaya seva nahi karunga, seva mein nahi jhonkunga woh bhi Please karne ke lakshya se tab tak Kripa nahi prapt hogi aur Kripa hi saar hai. Aur abhi atishaya seva se bahut dur hoon.
Din raat jadiye mann ke anusar chalne ki wajah se ek toh jo seva kar raha hoon usme SRI GURU, Sri Vaisnavon ke Mann ke anusar na karke jadiye mann ke anusar hi seva karne ka prayas rehta hai aur dusra sharir ko sukh pahunchane ke prayas ki wajah se sharir ke comfort zone mein rehke hi seva karne ka prayas rehta hai toh atishaya seva ka din kyun aayega.
* Iss baat par gehen manan karna hai, kirtan karna hai ki Kripa par hi meri bhakti tiki hai tabhi deh ke comfort se upar uthkar seva karne ka prayas rahega, tabhi iss jadiye mann ke anusar nahi, Samne wale ke Mann ke anusar Seva karne ka chah rahega. Tabhi mein har shan, always, available rahunga aur har kisi ke saath Seva karne ke liye tatpar rahunga. Saath mein hamesha flexible rahunga apne opinions ko leke aur Samne wale Vaisnava ke Opinions ko hi zyada mehetve doonga.
* Abhi sansar ka mehetve hai toh uske liye deh ke comfort ko bhi tyaagta hoon, materialistic person ki prasannta ke liye bhi karye karta hoon par Bhakti ka, Kripa ka mehetva nahi hai toh koi chinta hi nahi ki seva increase ho rahi hai ya nahi, SRI GURU, Sri Vaisnava Prasann ho rahe hain ya nahi. Mene sukh ki paribhasha ulti banayi hui hai.
Prarthana bhi hriday se nahi nikalti SRI GURU, Sri Vaisnavon ke Carno mein kyunki iss baat par pragaad shraddha nahi ki Kripa se hi sab prayas safal honge. Shraddha nahi hai ki association of Devotees is Association of Radha rani. So i should cry that i am not able to cry.
* Bahut zaroori hai ki early morning uthke Sadhan bhajan karoon kyunki agar early morning nahi karunga toh phir pura din pressure rahega pending sadhna ka toh phir ya toh seva ke liye available nahi hounga ya phir seva karte hue seva ko relish nahi kar paunga aur yehi chahunga ki jaldi khatam ho aur mein apni pending sadhna niptau. Aur agar kisi karan se seva mein delay ho jayega toh i will start blaming people, Devotees, circumstances for the delay thus ruining the actual purpose of doing seva. Phir sadhna bhi mechanical hi hogi.
* Iss Lecture to Barambar Shravan karna hai taki barambar reinforced ho yeh baat ki Kripa ke liye Har shan prayas karna hai, Kripa prapti ke liye hi seva prapt hui hai, aalasye nahi lana. Kripa hi sab kuch hai, Bina Kripa ke mein Lila smaran kar hi nahi sakta.
* Could also discuss Shridhar Sridharani Example. Could also share from V’v mahimamritam 11.1,2,3.
Kindly check and guide Mji.
PAmHO