Manan

Mji PamHO had come for Manan at around 10:10am. Meditated till 12:30pm.

* I am so fortunate, most fortunate that i am under SRI GURUDEVA’s Shelter.! So fortunate that i am part of KARM. So fortunate that i have got the Association of the Highest Devotees, Devotees Who are not just Naam Nishth but GURU Nishth, Seva Nishth also. So fortunate that i am manjari bhava Sadhak. So fortunate getting to know the Deepest secrets of Spirituality and that too As it is. Ek bari bhi Shastriye uttar prapt hona bahut badi kripa hai par yahan toh har bari keval shastriye uttar hi prapt hota hai. Kitni badi kripa hai. So fortunate that i have Pran pratishthit Deities, Highest Granthas, MATAJI, Eternal Tilak, Eternal Mantras, Radha Naam, Krsna Naam, Gaur Naam, Nitai Naam, Extraordinary, incomparable Pravacans, Dham visits, Personal TALKS, Sevas, Guidance. Do not need anything else to achieve perfection.
Yahan har bhakt best se best serve karne par laga hua hai through mind, body, words, money. Sabhi gems hain. Sabhi puri koshish kar rahe hain Agrasar hone ki. Agar Aise bhakton mein bhi mujhe fault dikh raha hai toh mujhse bada murkh koi nahi, apraadhi koi nahi. Apne dono per pe zor se kulhadi maar raha hoon.
Dham jana hai toh ultra positive hona hi hoga, keval apne bhajan par focus karna hai dusre ke nahi. Mujhe koi seva nahi mili hai kisi ke bhajan ko parakhne ki ya correct karne ki. Waise bhi sabse zyada faults mere mein hi hain, sabse zyada duracari mein hi hoon.
i should always be self introspective. Sabse ati sneh purvak acaran hi karna hai, show off nahi karna, seniority nahi jhadni, sabki seva karne ko hamesha ready rehna hai woh bhi Samne wale ke comfort ke anusar. vaastavik humility aur vinamrta ka hi acaran karna hai. I must be very sensitive towards other Devotees, their needs.

* Dhan se asakti puri tarah se khatam karni hai, dhan ke prati lobh bhakti ka vinaash karta hai. Bhakt hamesha santusht rehta hai chahe kaise bhi paristithi ho, chahe dhan kam ho ya zyada. Bhakt kabhi over endeavour nahi karta dhan kamane ke liye aur jo Prarabdh anusar prapt hota hai usi ke anusar jivan yaapan karta hai. Samajhna hoga ki dhan sukh ka source nahi balki dukh ka source hai. Dhan poison hai. Keval karm bandhan hi aur badhata hai, aur janam book karta jata hai. Lobh narak ka dwaar hai. Dhan ke aane se bahut sare anarth saath mein package rupe mein aa jate hain jisse bhajan khatam ho jata hai.
Waise bhi mein aatma hoon, totally spiritual dhan mujhe sparsh hi nahi kar sakta toh sukh dene ka toh prashan hi nahi utt tha. Keval mana hua hai ki dhan mein sukh hai. Money is money money is not God.
Dhan badhane ya apne par kharch karne ke sambandh mein koi bhi vicar aaye toh use turant attention deni band karni hai, dhan ka keval ek hi sadupyog hai – GURU, Bhakton ki Seva mein lagana. Dhan kam hone par zara sa bhi vichlit nahi hona kyunki jo bhag mein likha hai iss sharir ke usme se 25 paise bhi kam nahi milenge. Saath mein koi comparison bhi nahi karna ki uska paas zyada hai toh mujhe bhi kamana hai. Samajhna hai ki mujhe yeh sharir bhajan karne ke liye mila hai na ki dhan kamane ke liye toh chah kar bhi dhan nahi kama sakta.
Svayam ko krsna conscious reason bhi nahi dena ki ghar ka kharcha chalana hai, bacchon ki studies ka kharcha pura karna hai, mandir ke liye paisa ikattha karna hai, bacchon ki demands ko pura karna hai warna bura maan jayenge, paisa kam hoga toh log kya kahenge, relatives kya kahenge, samaaj mein izzat banani hai toh paisa chahiye, etc isiliye dhan zaroori hai. Yeh sab reason agyanta, ahankar ke prateek hai. Keval maya hai.

* All thoughts are garbage. Whatever i think about myself, about others, objects of this world, about what is right, what is wrong, what is my duty, about situations is all wrong, all garbage.
Sabhi jadiye vichar jadiye mann mein aate hai like clouds passing by mere mein nahi. Mein mann se bahut dur hoon, sparsh tak nahi hai toh koi vichar mujhe kaise sparsh kar sakta bak. Attention deta hoon toh cloud rider ban jata hoon, attention nahi dunga toh aaye hai aur phir chale jayenge. Kisi bhi vichar ki purti karke mujhe kuch nahi milta bas deh avesh aur badh jata hai, anand se aur dur ho jata hoon. Mann se bilkul bhi cooperate nahi karna.
Thoughts are not happiness. They are dead, lifeless. Iccha purti anand purti nahi hai. Mann ek bottomless well ke samaan hai isko jitna bharo utna hi khali rehta hai. Vicharon mein ghumna yani shekh chilli ki aulaad hona. Khaya piya kuch nahi gilaas toda barah aane hona.

Mein male hoon, yeh sirf ek vichar hai aur kuch nahi. Par iss ek vichar ke karan pura jivan barbaad kar raha hoon. Mein kan hoon, seva ka kan hoon, Krsna Anand hain, iske alava baki sabhi vichar garbage hain. Conceptual living karna band karna hoga. Mein complete hoon mujhe kuch nahi chahiye. Koi vichar mujhe complete nahi kar sakta.

Kindly check and guide Mji.
PamHO nauker